top of page

نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے

Naat Academy Naat Lyrics Naat Channel-Naat-Lyrics-Islamic-Poetry-Naat-Education-Sufism.png

Dil mein ishq e nabi ki ho aisi lagan Rooh tarapti rahay Naat Lyrics

Dil main ishq e Nabi ki ho aisi lagan, Ruh tarapti rahe dil machalta rahe Zindagi ka maza hey kay har saans say Ya Muhammad Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasallam) nikalta rahey.

Dil Main Ishq-e-Nabi Kee Ho Aesee Lagan Ya Muhammad Muhammad mein kehta raha, Noor kay motiyo ki lare ban gaee, Ayaton sey milata raha ayatein,

Phir jo dekha to Naat e Nabi ban gaye. Jo bhi ansoo bahe merey Mehboob kay, Sab key sab abr e rehmat kay cheentay banay, Chah gaee raat jab zulf lehra gaee,

Jab tabasum kiya chandani ban gaee. Yeh to maana kay jannat hai bagh e haseen, Khoobsoorat hey sab khuld ki sar zameen, Husn e jannat ko phir jab samayta gaya,

Sarwar e ambiya ki galee ban gaee. Jab chirah tazkira un kay rukhsaar ka, Waduha par liya, wal qamar keh dia, Sooraton kee tilawat bhi hoti rahi,

Naat bhi ho gayi baat bhi ban gayi. Sab say saim zamanay main mazoor tha, Sab sey beykas tha beybas tha majboor tha , Un ko reham agaya merey halaat par, Meree azmat meree beybasee ban gaee.

Dil mein ishq e Nabi ki ho aisi lagan, Rooh tarapti rahay dil machalta rahay, Zindagi ka maza hai kay har saans say, Ya Muhammad Muhammad nikalta rahey

129 views

Recent Posts

See All

Muqaam e qurb hai kaisa mere Siddiq_e_akbar ka

مقامِ قرب ہے کیسا مِرے صدّیقِ اکبر کا نبی کے ساتھ ہے روضہ مِرے صدّیقِ اکبر کا رسولوں اور سارے انبیا کے بعد میں بے شک ہے سب سے مرتبہ اعلیٰ مِرے صدّیقِ اکبر کا عمر فاروق، عثمانِ غنی، حیدر علی سے بھی مقا

Rasool e Paak ki Chahat Abu Bakar Siddiq

رسولِ پاک کی چاہت ابوبکر صدیق ہیں آپ فخرِ خلافت ابوبکر صدیق نبی کے بعد جو افضل ہیں سارے عالم میں وہی ہیں شانِ صداقت ابوبکر صدیق رکاوٹ آنہ سکا سانپ پہرے داری سے ہے خوب تیری رفاقت ابوبکر صدیق فقط بشر ہی

bottom of page