top of page

نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے

Naat Academy Naat Lyrics Naat Channel-Naat-Lyrics-Islamic-Poetry-Naat-Education-Sufism.png

Dikhade ilahi Wo Pyara Madina Naat Lyrics

Dikhade ilahi wo pyara madina Ilahi bana de madina ye sina Mein mar jaaun mere kafan pe ye likhna Muhammad muhammad madina madina Chali jis taraf se nabi ki sawari Shajar ne hajar ne di juk kar salami Sabhi kar rahe hein nabi ki gulami Nabi ne sikhaya har ek sha’e ko jina Muhammad muhammad madina madina Khade hein sawali dare mustafa par Wahan koi aala na koi tawangar Chalo aao mange habeebe khuda se Ke hathon mein hai jiske sara khazina Muhammad muhammad madina madina Bulalo madine mein aqa bulalo Gira ja raha hun sambhalo sambhalo Khatakar hun mujko aaqa nibhalo Lagado mera paar aaqa safina Muhammad muhammad madina madina Kiya jab bhi karte the aaqa ibadat To qur’aan karta tha unki tilawat Ye aisa khuda ki kasam mo’jaza hai Mila inke sadke se bakhshish ka zina Muhammad muhammad madina madina Ye aankhon ka rona ye dil ka tadapna Tasawwur mein aaqa ke dar se lipatna Dare mustafa par kahunga mein ja kar Yahin mera marna yahin mera jina Muhammad muhammad madina madina Bulawa jo aaye madine mein jaaun Mein Rashid karam hi karam leke aaun Ba-roze kayamat uthun jab lahad se To mere labon pe ho naara madina Muhammad muhammad madina madina Dikhade ilahi wo pyara madina Ilahi bana de madina ye sina Mein mar jaaun mere kafan pe ye likhna Muhammad muhammad madina madina

280 views

Recent Posts

See All

Muqaam e qurb hai kaisa mere Siddiq_e_akbar ka

مقامِ قرب ہے کیسا مِرے صدّیقِ اکبر کا نبی کے ساتھ ہے روضہ مِرے صدّیقِ اکبر کا رسولوں اور سارے انبیا کے بعد میں بے شک ہے سب سے مرتبہ اعلیٰ مِرے صدّیقِ اکبر کا عمر فاروق، عثمانِ غنی، حیدر علی سے بھی مقا

Rasool e Paak ki Chahat Abu Bakar Siddiq

رسولِ پاک کی چاہت ابوبکر صدیق ہیں آپ فخرِ خلافت ابوبکر صدیق نبی کے بعد جو افضل ہیں سارے عالم میں وہی ہیں شانِ صداقت ابوبکر صدیق رکاوٹ آنہ سکا سانپ پہرے داری سے ہے خوب تیری رفاقت ابوبکر صدیق فقط بشر ہی

bottom of page