Chand taaray hi kyaa, dekhtay Reh Gaye Unko arzo samaa dekhtay Reh Gaye
Ham daray Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) dekhtay Reh Gaye Noor hi noor tha, dekhtay Reh Gaye
Parh kay roohul ameen, soora e wadduhaa, Soorat-e-Mustafa dekhtay Reh Gaye
Wo Imaamat ki shab, wo Saff-e-Ambiyaa, Muqtadi muqtadaa dekhtay Reh Gaye
Naykon bad par huwaa, un ka yaksaa karam, Log acha buraa dekhtay Reh Gaye
Kya khabar kiss ko kab Jaam-e-Kausar milaa, Hum to unki adaa dekhtay Reh Gaye
Ho ke gumm ay Naseer Unke jalwon mein hum, Shaan-e-Rabbul ‘Ulaa dekhtay Reh Gaye
Baar baar tauba ki aur phir torr di Woh Habib-e-Khuda maaf karte rahe
Ya Rasul Llah ya Habiba Llah Mere sar ko Haram ki fiza chahiye
Ya Rasool Llah ya Habiba Llah Mere dil ko Dar-e-Mustafa chahiye
Fazl-e-Rabb-ul-‘ula aur kya chahiye Mil gaye Mustafa aur kya chahiye
Chand taaray hi kyaa, dekhtay Reh Gaye Unko arzo samaa dekhtay Reh Gaye
Kalaam By: Peer Syed Naseer-ud-Din Naseer Shah