Bahere deedar mushtaq hai har nazar Donon aalam ke sarkar aa jaeeye Chandani raat hai aur pichhla pahar Donon aalam ke sarkar aa jaeeye Sidratul muntaha arsho baabe iram Har jagah padh chuka hai nishane kadam Ab to eek baar apne gulamon ke ghar Donon aalam ke sarkar aa jaeeye Samane jalwagar paikare noor ho Munkiron ka bhi sarkar shak dur ho Kar ke tabdeel eek din libase bashar Donon aalam ke sarkar aa jaeeye Shame ummid ka ab sawera hua Sue tayba nigaon ka dera hua Bichh gaye raah mein farshe qalbo nazar Donon aalam ke sarkar aa jaeeye Mere gulshan ko ek baar mahekaiye Apne jalwon ki barish mein nahelaiye Deedae shok ko kijiye behrawar Donon aalam ke sarkar aa jaeeye Ta abad apni kismat pe nazaan rahe Khak ho jaye fir bhi farozan rahe Dil ki bazme tamanna mein eek bar agar Donon aalam ke sarkar aa jaeeye Aakhari wakt hai ek bimaar ka Dil machal ne laga shoke deedar ka Buj na jaaye kahin ye charage sahar Donon aalam ke sarkar aa jaeeye Shame gurbat hai aur shahere khamosh Ek Arshad akela kafanposh hai Khauf ki hai gadi wakt hai purkhatar Donon aalam ke sarkar aa jaeeye
top of page
نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے
Recent Posts
See Allمقامِ قرب ہے کیسا مِرے صدّیقِ اکبر کا نبی کے ساتھ ہے روضہ مِرے صدّیقِ اکبر کا رسولوں اور سارے انبیا کے بعد میں بے شک ہے سب سے مرتبہ اعلیٰ...
bottom of page