Ya Nabi nazre karam farmana Aye Hasnain ke nana
Zahra paak ke sadqe humko Taiba me bulana Aye Hasnain ke nana
Ya Nabi nazre karam farmana Aye Hasnain ke nana
Aap ke dar ka mai hu bhikari Aap hai mere daata Saare rishte naato se hai Pyaara apna naata Aap to hai aata hai jinko sabki laaj nibhana Aye Hasnain ke nana
Ya Nabi nazre karam farmana Aye Hasnain ke nana
Be saaya hai lekin woh Jag par hai aapka saaya Arshe moh`alla bana mohalla Deed ko Rab ne bulaya Hasr tak na hoga kisika Aisa aana jana Aye Hasnain ke nana
Ya Nabi nazre karam farmana Aye Hasnain ke nana
Sajh gayi hai meelad ki mehfil Kya hai khoob nazara Kaifo masti me dooba hai Dekho aalam saara Dhund rahi aap ki rehmat Bakshish ka bahaana Aye Hasnain ke nana
Ya Nabi nazre karam farmana Aye Hasnain ke nana
Nisbat ka faizan hai dekho Khadim e Gaus e Jali hu Karta hai mujh pe naaz zamana Mai Ausaat e Ali hu Aap ki aal ke dar ka sag hu Aur saahil hu purana
Ya Nabi nazre karam farmana Aye Hasnain ke nana