اَلصَّلٰوۃُ وَالسَّلاَمُ عَلَیْکَ یَا رَسُوْلَ اللّٰہ وَعَلٰی اٰلِکَ وَ اَصْحٰبِکَ یَا حَبِیْبَ اللّٰہ
Jalwoun se Muhammad ke roshan mera seena hai
Jalwoun se Muhammad ke roshan mera seena hai
Jalwoun se Muhammad ke roshan mera seena hai
Kaaba hai kalejy mein aur dil mein Madina hai
Ab door bohat sahil Sarkar-e-Madina hai
Lillah madad kijiye, toofan mein safeena hai
Hain aur bhi duniya mein darbar bohat lekin
Darbar-e-Madina phir darbar-e-Madina hai
Ae chara-garu mere marne ka na gham karna
Ulfat mein Muhammad ki marna mera jeena hai
Kyun jaye koi sa'il khali dar-e-Aqdas se
Jab aap ka dar, aaqa rahmat ka khazina hai
Tu ishq Muhammad mein hasti ko fana kar de
Allah se milne ka Parnaam ye qareena hai